chaman  meñ  dahr  ke  har  gul  hai  kaan  kī  sūrat
har  ek  ġhuncha  hai  us  meñ  zabān  kī  sūrat
nahīñ  hai  shikva  agar  vo  nazar  nahīñ  aatā
kisū  ne  dekhī  nahīñ  apnī  jaan  kī  sūrat
kaheñ  to  sab  haiñ  jahāñ  ko  rabāt-e-kohna  vale
hamesha  hai  gī  na.ī  is  makān  kī  sūrat
jo  dekhtā  hai  so  pahchāntā  nahīñ,  aisī
badal  ga.ī  hai  dil-e-nā-tavān  kī  sūrat
jo  niklī  baize  se  bulbul  to  huī  asīr-e-qafas
na  dekhī  khol  ke  aañkh  āshiyān  kī  sūrat
agar  hazār  musavvir  ḳhayāl  dil  meñ  kareñ
kabhū  na  khīñch  sakeñ  us  kī  aan  kī  sūrat
falak  ke  ḳhvān  upar  us  kī  tañg-chashmī  se
kabhū  nazar  na  paḌī  mehmān  kī  sūrat
ghaḌī  ghaḌī  meñ  badaltā  hai  rañg  ai  'hātim'
hamesha  bū-qalamūñ  hai  jahān  kī  sūrat