auqāt-e-shaiḳh  go  ki  sujūd  o  qayām  hai
mere  kane  to  ek  ḳhudā  hī  kā  naam  hai
har  sub.h  uTh  butoñ  se  mujhe  raam  raam  hai
zāhid  tirī  namāz  ko  merā  salām  hai
terī  nigah  ke  daur  meñ  aisā  huā  huuñ  mast
sāġhar  se  mujh  ko  aañkh  milānā  harām  hai
ham  aur  terī  shikāyateñ  zālim  ḳhudā  se  Dar
bohtān  hai  ġhalat  hai  ye  mahz  ittihām  hai
din  ko  na  bhuuk  hai  na  mujhe  raat  ko  hai  niiñd
is  rozgār  meñ  ye  mirī  sub.h  o  shaam  hai
martā  huuñ  aa  ke  dekh  tire  intizār  meñ
varna  sunegā  ab  koī  dam  ko  tamām  hai
qāsid  kahāñ  chalā  hai  mujhe  bhī  ḳhabar  to  de
yak  dam  tū  baiTh  jā  ki  mujhe  tujh  se  kaam  hai
tujh  ko  qasam  ḳhudā  kī  jo  jaatā  hai  us  taraf
tū  bhūliyo  na  itnā  hī  merā  payām  hai
kahiyo  mirī  taraf  se  na  pahuñchā  mirā  javāb
itnā  dimāġh  kyā  tirā  'hātim'  ġhulām  hai
qāsid  se  us  ne  sun  ke  haqīqat  kahā  ki  vaah
kyā  ḳhuub  is  suḳhan  kā  koī  ye  maqām  hai
kahnā  use  yahī  tū  ki  ai  bul-havas  hanūz
āshiq  huā  to  par  ye  tirā  ishq  ḳhaam  hai
ma.ashūq  kī  janāb  meñ  koī  bhī  be-adab
bolā  hai  is  tarah  se  jo  terā  kalām  hai