zor  yaaro  aaj  ham  ne  fat.h  kī  jañg-e-falak
yak  tamāñche  meñ  kabūdī  kar  diyā  rañg-e-falak
garmī-e-dūkāñ  par  apnī  shīshagar  sarkash  na  ho
DhūñDhtā  phirtā  hai  tere  sar  ke  ta.iiñ  sañg-e-falak
kaj-ravī  se  us  kī  gar  aaqil  hai  tū  ġhāfil  na  rah
in  dinoñ  aur  hī  nazar  aatā  hai  kuchh  Dhañg-e-falak
tū  jo  tul  baiThe  to  palle  chāhiye  hoñ  mahr-o-māh
aisī  mīzāñ  ke  ta.iiñ  lāzim  hai  passañg-e-falak
shauq  hai  gar  sair-e-bālā  kā  to  'hātim'  ho  savār
kahkashāñ  se  khīñch  kar  laayā  huuñ  ab  tañg-e-falak