āshiqoñ  ke  sair  karne  kā  jahāñ  hī  aur  hai
un  ke  aalam  kā  zamīn  o  āsmāñ  hī  aur  hai
pūchhtā  phirtā  hai  kyā  har  ek  se  un  kā  surāġh
lā-makāñ  haiñ  un  ko  rahne  kā  makāñ  hī  aur  hai
āzmā.ish  in  kī  vaz.on  kā  tujhe  hai  gā  zarar
ye  vo  firqa  hai  ki  in  kā  imtihāñ  hī  aur  hai
kyā  ḳharīdegā  ḳharāb-ābād  ke  bāzār  meñ
dard  kī  ho  jins  jis  meñ  vo  dukāñ  hī  aur  hai
sañg  o  gul  kā  tauf  ho  tujh  ko  mubārak  hājiyo
hazrat-e-dil  ke  haram  kā  kārvāñ  hī  aur  hai
baiThne  ko  shāḳh-e-tūbā  par  nahīñ  kartīñ  nigāh
is  chaman  kī  bulbuloñ  kā  āshiyāñ  hī  aur  hai
us  ko  kyā  nisbat  kisī  afsāna-o-qisse  ke  saath
ishq  ke  daftar  kī  'hātim'  dāstāñ  hī  aur  hai