is  vāste  niklūñ  huuñ  tire  kūche  se  bach  bach
har  ek  machātā  hai  mujhe  dekh  ke  kach-kach
nairañgī-e-qudrat  kā  vahī  diid  kare  hai
paanī  kī  tarah  ho  jo  har  ik  rañg  meñ  rach-rach
sar  par  se  to  mandīl  ko  ab  duur  kar  ai  shaiḳh
gardan  tirī  is  bojh  se  ab  kartī  hai  lach-lach
nādān  hai  aisā  ki  jo  dushman  mire  haq  meñ
jhūTī  use  kahte  haiñ  to  vo  jaane  hai  sach  sach
maktab  meñ  jo  kī  sair  to  dekhā  ye  tamāshā
mullā  ke  bhī  shāgird  haiñ  murġhe  ke  se  kach-kach
zar  hove  to  ma.ashūq  bhī  haath  aave  hai  'hātim'
muflis  abas  is  fikr  meñ  jī  deve  hai  nach-nach