hameñ  yaad  aavtī  haiñ  bāteñ  us  gul-rū  kī  rah  rah  ke
nahīñ  haiñ  baaġh  meñ  mushtāq  ham  bulbul  ke  chah  chah  ke
karegā  qatl  kis  ko  dekhiye  vo  teġh-zan  yaaro
chalā  aatā  hai  apne  haath  meñ  qabze  ko  gah  gah  ke
nashā  aisā  huā  us  kī  nigah  kā  jo  nahīñ  thamte
hamāre  ashk  jaate  haiñ  chale  chashmoñ  se  bah  bah  ke
ham  us  kā  muskurānā  yaad  kar  ro  ro  ke  hañste  haiñ
nahīñ  mushtāq  ab  bāzār  ke  ḳhandoñ  ke  qah-qah  ke
suḳhan  meñ  faḳhr  apnā  bin  kiye  rahtā  nahīñ  'nājī'
use  samjhā.e  'hātim'  kis  tarah  ash.ār  kah  kah  ke