hamārī  sair  ko  gulshan  se  kū-e-yār  behtar  thā
nafīr-e-bulbuloñ  se  nāla-hā-e-zār  behtar  thā
anal-haq  kī  haqīqat  ko  jo  ho  mansūr  so  jaane
ki  us  ko  āsmāñ  chaḌhne  se  chaḌhnā  daar  behtar  thā
kabhū  bīmār  sun  kar  vo  ayādat  ko  to  aatā  thā
hameñ  apne  bhale  hone  se  vo  āzār  behtar  thā
tū  apne  man  kā  mankā  pher  zāhid  varna  kyā  hāsil
tujhe  is  makr  kī  tasbīh  se  zunnār  behtar  thā
na  kahtā  maiñ  ki  āshiq  huuñ  tirā  to  kyuuñ  vo  ram  kartā
mujhe  iqrār  ab  karne  se  vo  inkār  behtar  thā
hamārī  aql  meñ  ghar  kī  giraftārī  se  'hātim'  ko
kaho  dīvāna  phirnā  kūcha  o  bāzār  behtar  thā