jo  mai-ḳhāne  meñ  jaatā  thā  qadam  rakhte  jhijhaktā  thā
ki  sāġhar  aañkh  dikhlātā  thā  aur  shīsha  bhabhaktā  thā
tamāsha  ho  rahā  thā  abr  meñ  rone  se  kyā  mere
udhar  paanī  barastā  thā  idhar  lohū  Tapaktā  thā
baḌā  ehsāñ  kiyā  jo  dil  ko  mere  khīñch  kar  kāḌhā
ki  muddat  se  mire  siine  meñ  juuñ  kāñTā  khaTaktā  thā
tire  kūche  meñ  maiñ  ne  aaj  dasht-e-karbalā  dekhā
koī  maarā  paḌā  thā  aur  paḌā  koī  sisaktā  thā
gayā  thā  teliyā  kapḌoñ  se  tū  ā.īna-ḳhāne  meñ
ki  ab  tak  ḳhāna-e-ā.īna  us  bū  se  mahaktā  thā
mazā  lene  ke  ta.iiñ  shīrīñ-maqālī  kā  tirī  'hātim'
khaḌā  muñh  ko  adab  se  duur  nādīda  sā  taktā  thā