jab  se  tumhārī  āñkheñ  aalam  ko  bhā.iyāñ  haiñ
tab  se  jahāñ  meñ  tum  ne  dhūmeñ  machā.iyāñ  haiñ
jaur-o-jafā  o  mehnat  mehr-o-vafā-o-ulfat
tum  kyuuñ  baḌhā.iyāñ  haiñ  aur  kyuuñ  ghaTā.iyāñ  haiñ
mil  mil  ke  ruuTh  jaanā  aur  ruuTh  ruuTh  milnā
ye  kyā  ḳharābiyāñ  haiñ  kyā  jag-hañsā.iyāñ  haiñ
Tuk  Tuk  sarak  sarak  kar  aa  baiThnā  baġhal  meñ
kyā  achpalā.iyāñ  haiñ  aur  kyā  DhiTā.iyāñ  haiñ
zulfoñ  kā  bil  banāte  āñkheñ  churā  ke  chalnā
kyā  kam-nigāhiyāñ  haiñ  kyā  kaj-adā.iyāñ  haiñ
ā.īna  rū-ba-rū  rakh  aur  apnī  saj  banānā
kyā  ḳhud-pasañdiyāñ  haiñ  kyā  ḳhud-numā.iyāñ  haiñ
āñchal  uThā  ke  tum  ne  jo  Dhāñk  liiñ  ye  chhatiyāñ
kis  ko  dikhā.iyāñ  haiñ  kis  se  chupā.iyāñ  haiñ
tum  meñ  jo  shoḳhiyāñ  haiñ  aur  chanchalā.iyāñ  haiñ
kin  ne  sikhā.iyāñ  haiñ  kin  ne  batā.iyāñ  haiñ
'hātim'  ke  bin  ishāra  sach  kah  ye  chashm-o-abrū
kis  se  laḌā.iyāñ  haiñ  kis  par  chaḌhā.iyāñ  haiñ