āshiq  kā  jahāñ  meñ  ghar  na  dekhā
aisā  koī  dar-ba-dar  na  dekhā
jaisā  ki  uḌe  hai  tā.ir-e-dil
aisā  koī  tez-par  na  dekhā
ḳhūbān-e-jahāñ  hoñ  jis  se  tasḳhīr
aisā  koī  ham  hunar  na  dekhā
TuuTe  dil  ko  banā  dikhāve
aisā  koī  kārī-gar  na  dekhā
us  teġh-e-nigah  se  ho  muqābil
aisā  koī  be-jigar  na  dekhā
jaarī  haiñ  hamesha  chashma-e-chashm
aisā  koī  abr-e-tar  na  dekhā
jo  aab  hai  aabrū  meñ  'hātim'
aisā  koī  ham  guhar  na  dekhā