dekhte  sajde  meñ  aatā  hai  jo  kartā  hai  nigāh
tere  abrū  kī  hai  mehrāb  magar  baitullāh
yak  palak  meñ  vo  kare  piis  ke  faujeñ  surma
jis  taraf  ko  phire  zālim  tirī  mizhgāñ  kī  sipāh
bait-bahsī  na  kar  ai  fāḳhta  gulshan  meñ  ki  aaj
misra-e-sarv  se  mauzūñ  hai  mirā  misra-e-āh
kishvar-e-ishq  kī  shāhī  hai  magar  majnūñ  ko
ki  zamīñ  taḳht  hai  sar  par  hai  bagūle  kī  kulāh
kyūñkar  in  kaalī  balāoñ  se  bachegā  āshiq
ḳhat  siyah  ḳhaal  siyah  zulf  siyah  chashm  siyāh
chāhtā  hai  shab-e-zulfāñ  kī  tirī  umr  darāz
ki  mire  ishq  kā  hove  nahīñ  qissa  kotāh
kyā  kahe  kyūñki  kahe  tujh  se  ye  'hātim'  ġham-e-dil
ki  vo  hai  sharm  se  mahjūb  o  tū  hai  be-parvāh