dard-e-dil  merī  aah  se  pūchho
sabab  us  kī  nigāh  se  pūchho
ma.ani-e-be-muravvatī-e-butāñ
us  taġhāful-panāh  se  pūchho
bā.is-e-tīra-baḳhti-e-ālam
us  kī  zulf-e-siyāh  se  pūchho
us  kī  teġh-e-sitam  kā  sharh  o  bayāñ
jā  kisī  be-gunāh  se  pūchho
us  ke  mukhḌe  kī  raushnī  kī  sifat
mujh  se  kyā  mahr  o  maah  se  pūchho
girya  o  nāla-o-fuġhāñ  kyuuñ  hai
ye  mire  dil  kī  chaah  se  pūchho
mahzar-e-husn-o-ishq  kā  qaziya
haq  hai  shāhid  gavāh  se  pūchho
kyā  kaheñ  uus  kā  ghar  hai  kitnī  duur
thak  ga.e  ham  to  raah  se  pūchho
qibla  'hātim'  kidhar  hai  raast  batā
jā  ke  us  kaj-kulāh  se  pūchho