har  gul  us  baaġh  kā  nazroñ  meñ  dahāñ  hai  goyā
sūrat-e-ġhuncha  jo  dekhūñ  to  zabāñ  hai  goyā
taak  kī  tarah  sabhī  mast  paḌe  aiñDeñ  haiñ
mai-kada  ab  girav-e-bāda-kashāñ  hai  goyā
chashm  hai  turk  nigah  neza  o  mizhgāñ  tarkash
zulf-e-pur-pech  kā  har  halqa  kamāñ  hai  goyā
jā  bhiḌātā  hai  hamesha  mujhe  ḳhūñ-ḳhvāroñ  se
dil  baġhal-bīch  mirā  dushman-e-jāñ  hai  goyā
'hātim'  ab  us  kī  sabhī  muñh  kī  taraf  dekhe  haiñ
shīsha  majlis  meñ  yahāñ  pīr-e-muġhāñ  hai  goyā