jis  ko  dekhā  so  yahāñ  dushman-e-jāñ  hai  apnā
dil  ko  jaane  the  ham  apnā  so  kahāñ  hai  apnā
qissa-e-majnūñ-o-farhād  bhī  ik  pardā  hai
jo  fasāna  hai  yahāñ  sharh-o-bayāñ  hai  apnā
vasf  kahne  meñ  tire  husn  ke  sharminda  huuñ
us  ke  qābil  na  zabāñ  hai  na  dahāñ  hai  apnā
jis  ko  jaanā  ho  bhalā  us  ko  burā  kyā  kahiye
go  ki  bad-vaz.a  hai  par  ab  to  miyāñ  hai  apnā