phir  ḳhabar  is  fasl  meñ  yaaro  bahār  aane  kī  hai
ab  ba-juz  zanjīr  kyā  tadbīr  dīvāne  kī  hai
ḳhaak  kar  deve  jalā  kar  pahle  phir  Tisve  bahā.e
sham.a  majlis  meñ  baḌī  dil-soz  parvāne  kī  hai
bhed  zulfoñ  kā  bayāñ  karne  meñ  ho  jaatā  hai  guñg
varna  kahne  ko  jo  pūchho  sau  zabāñ  shāne  kī  hai
shaiḳh  us  kī  chashm  ke  goshe  se  goshe  ho  kahīñ
us  taraf  mat  jaao  nādāñ  raah  mai-ḳhāne  kī  hai
hausla  tañgī  kare  hai  shahr  ke  kūche  haiñ  tañg
ab  havas  dil  meñ  hamāre  sair  vīrāne  kī  hai
chāhiye  kyā  baat  kahte  ho  jahāñ  meñ  qatl-e-ām
der  muñh  se  ab  tumhāre  hukm  farmāne  kī  hai
jī  meñ  aatā  hai  ki  'hātim'  aaj  us  ko  chheḌiye
muddatoñ  se  dil  meñ  hasrat  gāliyāñ  khāne  kī  hai