sab  muḳhālif  jab  kināre  ho  ga.e
ham  meñ  aur  us  meñ  ishāre  ho  ga.e
aa.e  aur  baiThe  na  kuchh  shikva  nahīñ
ye  ġhanīmat  hai  ki  baare  ho  ga.e
jab  chaḌh  aa.ī  rū-ba-rū  fauj-e-junūñ
ham  bhī  sanmukh  ho  utāre  ho  ga.e
hijr  ne  us  ko  jalāyā  is  qadar
daaġh  siine  par  añgāre  ho  ga.e
jānte  the  apne  ham  hosh-o-havās
yak  nigah  meñ  sab  tumhāre  ho  ga.e
chashm  to  teġhe  the  aage  hī  miyāñ
surma  dene  se  do  dhāre  ho  ga.e
kaan  ke  motī  tirī  zulfoñ  meñ  raat
ḳhalq  kī  nazroñ  meñ  taare  ho  ga.e
jab  hue  'hātim'  ham  us  se  āshnā
dost  bhī  dushman  hamāre  ho  ga.e