na  tan  meñ  ustuḳhvān  ne  rag  rahī  hai
laboñ  par  kyūñki  jaan  ab  lag  rahī  hai
hameñ  pūchho  to  hastī  se  adam  tak
masāfat  kyā  hai  haañ  yak  Dag  rahī  hai
tumhārī  yaad  meñ  ai  sho.ala-ḳhūbāñ
zabān-e-sham.a  par  lau  lag  rahī  hai
hameñ  yak  umr  se  kūche  meñ  us  ke
talāsh-e-pā-e-bos-e-sag  rahī  hai
na  jā  us  kī  taraf  tū  aaj  'hātim'
vahāñ  shamshīr-e-abrū  bag  rahī  hai