na  kuchh  sitam  se  tire  aah  aah  kartā  huuñ
maiñ  apne  dil  kī  madad  gaah  gaah  kartā  huuñ
na  āfrīñ  na  dilāsā  na  dil-dahī  na  nigāh
ġharaz  maiñ  hī  huuñ  jo  tujh  se  nibāh  kartā  huuñ
ise  kaheñ  haiñ  sunā  hogā  shaiḳh  ḳhauf  o  rajā
udhar  tū  tauba  idhar  maiñ  gunāh  kartā  huuñ
tū  apne  dil  kī  siyāhī  kare  hai  dho  ke  safed
maiñ  apne  naama  amal  kā  siyāh  kartā  huuñ
tū  roz  sañg  se  masjid  ke  sar  paTaktā  hai
maiñ  us  kā  naqsh-e-qadam  sajda-gāh  kartā  huuñ
tujhe  hai  apnī  ibādat  upar  nazar  kyūñkar
maiñ  us  ke  fazl  ke  uupar  nigāh  kartā  huuñ
misāl-e-rishta-e-tasbīh  roz  o  shab  'hātim'
chhupe  chhupe  maiñ  kisī  dil  meñ  raah  kartā  huuñ