sach  agar  pūchho  to  nā-paidā  hai  yak-rū  āshnā
saare  aalam  meñ  jo  hoñ  shāyad  to  yak  do  āshnā
hāzir  o  ġhā.eb  ho  yaksāñ  zāhir  o  bātin  ho  saaf
is  tarah  kā  kam  nazar  aayā  hai  yaksū  āshnā
ham  vo  muḳhlis  haiñ  ki  āñkheñ  dekhte  guzrī  hai  umr
jī  nikal  jaave  jo  ho  ham  se  kaj-abrū  āshnā
saare  aalam  se  karūñ  maiñ  tark  rasm-e-dostī
mujh  se  hove  ai  mire  dushman  agar  tū  āshnā
kis  ke  kūche  meñ  tū  ho  niklī  thī  haañ  sach  kah  nasīm
tujh  meñ  jo  bū  hai  so  hai  muddat  se  ye  bū  āshnā
jāñ-ba-lab  huuñ  maiñ  to  in  yāroñ  kī  ḳhush-ḳhalqī  ko  dekh
hai  ma.āz-allāh  jo  ho  sohbat  meñ  bad-ḳhū  āshnā
ek  bhī  ham  ne  na  dekhā  dost  'hātim'  ba.ad-e-marg
hai  takalluf-bar-taraf  kū  yaar  aur  kū  āshnā