is  daur  ke  asar  kā  jo  pūchho  bayāñ  nahīñ
hai  kaun  sī  zamīñ  ki  jahāñ  āsmāñ  nahīñ
is  darja  dilbaroñ  se  koī  rasm-e-dilbarī
dil  haath  par  liye  huuñ  koī  dil-sitāñ  nahīñ
afsurda  dil  thā  ab  to  huā  ġham  se  murda-dil
jiitā  huuñ  dekhne  meñ  vale  mujh  meñ  jaañ  nahīñ
ādāb  sohbatoñ  kā  koī  ham  se  siikh  le
par  kyā  karūñ  ki  tālib-e-sohbat  yahāñ  nahīñ
dil  jal  ke  bujh  gayā  hai  kisī  ne  ḳhabar  na  lī
ham  soḳhta-diloñ  kā  koī  qadr-dāñ  nahīñ
hai  kal  kī  baat  sab  ke  diloñ  meñ  aziiz  thā
par  in  dinoñ  to  ek  bhī  dil  mehrbāñ  nahīñ
aisī  havā  bahī  ki  hai  chāroñ  taraf  fasād
juz  sāya-e-ḳhudā  kahīñ  dār-ul-amāñ  nahīñ
aalam  kī  haigī  nirḳh-e-ilāhī  se  zindagī
tis  par  bhī  dekhtā  huuñ  ki  bahutoñ  ko  naañ  nahīñ
'hātim'  ḳhamosh  lutf-e-suḳhan  kuchh  nahīñ  rahā
baktā  abas  phire  hai  koī  nukta-dāñ  nahīñ