banda  agar  jahāñ  meñ  bajā.e  ḳhudā  nahīñ
lekin  nazar  karo  to  ḳhudā  se  judā  nahīñ
nuqte  kā  farq  hai  gā  ḳhudā  aur  judā  meñ  dekh
sūrat  meñ  gar  chhupā  hai  ba-ma.anī  chhupā  nahīñ
har  shai  ke  biich  aap  nihāñ  ho  ayaañ  huā
dekhā  to  ham  ne  us  sā  koī  ḳhud-numā  nahīñ
hairān  aql-e-kul  kī  hai  us  kī  sifat  ko  dekh
sab  jā  meñ  jalva-gar  hai  magar  ek  jā  nahīñ
lazzat  chakhā  ke  dil  ke  ta.iiñ  hijr  o  vasl  kī
'hātim'  se  mil  rahā  hai  aur  ab  tak  milā  nahīñ