kyā  satāte  ho  raho  banda-navāz
ki  nahīñ  ḳhuub  ye  ḳhū  banda-navāz
be-sabab  be-vaj.h  o  be-taqsīr
is  qadar  ġhussa  na  ho  banda-navāz
zulm  nāhaq  na  karo  koī  din
jiyo  aur  jīvne  do  banda-navāz
mai-kasho  biich  na  baiTho  hargiz
ḳhuun  merā  na  piyo  banda-navāz
itr  ko  mal  ke  na  aao  ham  paas
zab.h  kartī  hai  ye  bū  banda-navāz
kab  talak  apnī  kahe  jāoge
baat  merī  bhī  suno  banda-navāz
vājib-ul-qatl  tumhārā  maiñ  huuñ
aur  kā  naam  na  lo  banda-navāz
go  ki  sab  mujh  ko  burā  kahte  haiñ
tum  zabāñ  siiñ  na  kaho  banda-navāz
kis  kā  muñh  hai  jo  tire  sanmukh  ho
ho  na  ho  ā.īna  ho  banda-navāz
jā  tirī  chashm  meñ  merī  hai  jā
sarv  ho  hai  lab-e-jū  banda-navāz
vasf-e-kākul  meñ  sadā  goyā  hai
jo  zabāñ  har  sar-e-mū  banda-navāz
dil  se  'hātim'  ba-ḳhudā  banda  hai
duur  ḳhidmat  se  hai  go  banda-navāz