ab  kī  chaman  meñ  gul  kā  ne  naam  o  ne  nishāñ  hai
fariyād-e-bulbulāñ  hai  yā  shohra-e-ḳhizāñ  hai
ham  sair  kar  jo  dekhā  rū-e-zamīñ  ke  uupar
āsūdgī  kahāñ  hai  jab  tak  ye  āsmāñ  hai
ham  kyā  kaheñ  zabāñ  se  aap  hī  tū  sun  rahegā
shikva  tire  sitam  kā  zālim  jahāñ  tahāñ  hai
muddat  huī  ki  mar  kar  maiñ  ḳhaak  ho  gayā  huuñ
jiine  kā  bad-gumāñ  ko  ab  tak  mire  gumāñ  hai
holī  ke  ab  bahāne  chhiḌkā  hai  rañg  kis  ne
nām-e-ḳhudā  tujh  uupar  is  aan  ajab  samāñ  hai
makre  se  fā.eda  kyā  rindoñ  se  kab  chhupī  hai
kyā  hājat-e-bayāñ  hai  jo  kuchh  hai  sab  ayaañ  hai
rañg-e-gulāl  muñh  par  aisā  bahār  de  hai
juuñ  āftāb-e-tābāñ  zer-e-shafaq  nihāñ  hai
kesar  meñ  is  tarah  se  ālūda  hai  sarāpā
sunte  the  ham  so  dekhā  to  shāḳh-e-za.afarāñ  hai
aap  hī  meñ  dekh  'hātim'  vahdat  ke  biich  kasrat
tū  ek  o  ek  jā  hai  aur  dil  kahāñ  kahāñ  hai