āb-e-hayāt  jā  ke  kisū  ne  piyā  to  kyā
mānind-e-ḳhizr  jag  meñ  akelā  jiyā  to  kyā
shīrīñ-labāñ  siiñ  sañg-diloñ  ko  asar  nahīñ
farhād  kaam  koh-kanī  kā  kiyā  to  kyā
jalnā  lagan  meñ  sham.a-sifat  saḳht  kaam  hai
parvāna  juuñ  shitāb  abas  jī  diyā  to  kyā
nāsūr  kī  sifat  hai  na  hogā  kabhū  vo  band
jarrāh  zaḳhm-e-ishq  kuuñ  aa  kar  siyā  to  kyā
mohtājgī  suuñ  mujh  kuuñ  nahīñ  ek  dam  farāġh
haq  ne  jahāñ  meñ  naam  kuuñ  'hātim'  kiyā  to  kyā