sab  ke  chehroñ  pe  jab  ḳhushī  hogī
kyā  'dinesh'  aisī  sub.h  bhī  hogī
log  nikle  haiñ  jo  ye  sham.a  liye
nirbhayā  phir  koī  luTī  hogī
sard  mausam  meñ  be-gharoñ  kī  dashā
bebasī  ḳhud  bhī  ro  rahī  hogī
kyā  kabhī  inqalāb  aa.egā
in  añdheroñ  meñ  raushnī  hogī
sab  ke  hoñToñ  pe  ye  savāl  hai  ab
kab  siyāsat  ko  hathkaḌī  hogī
abr  barsegā  TuuT  kar  jis  din
duur  dhartī  kī  tishnagī  hogī
uTh  ke  zālim  ko  de  javāb  'dinesh'
zulm  sahnā  to  buzdilī  hogī