tīr-e-abrū  jab  kamāñ  tak  aa  ga.e
un  kī  zad  meñ  jism-o-jāñ  tak  aa  ga.e
daaġh  sīrat  par  lage  the  aur  ham
basti-e-sūrat-garāñ  tak  aa  ga.e
rafta  rafta  kam  huā  zabt-e-alam
dard-e-jāñ  merī  zabāñ  tak  aa  ga.e
ham  ko  bhī  ik  gul-badan  kī  chaah  thī
ham  bhī  koī  gulsitāñ  tak  aa  ga.e
manzil-e-maqsūd  bhī  dikhne  lagī
ham  jo  mīr-e-kārvāñ  tak  aa  ga.e
yaad  aayā  jab  hameñ  bachpan  bahut
ham  khilaunoñ  kī  dukāñ  tak  aa  ga.e
qātiloñ  ke  paas  thī  daulat  apaar
un  ke  haq  meñ  hukmarāñ  tak  aa  ga.e
mausam-e-gul  sirf  yādoñ  meñ  hai  ab
umr  guzrī  ham  ḳhizāñ  tak  aa  ga.e