hunar  nahīñ  jo  havāoñ  ke  par  katarne  kā
rahegā  ḳhauf  hamesha  hī  bujh  ke  marne  kā
ham  ā.inoñ  ke  muḳhātab  na  ho  sakeñge  kabhī
hameñ  to  ḳhatra  hai  apnā  naqāb  utarne  kā
vafā  kī  raah  pe  marnā  bhī  thā  mujhe  manzūr
koī  to  hogā  sabab  mere  ab  mukarne  kā
darāḌ  baḌhtī  hai  baḌh  jaa.e  bad-gumānī  kī
irāda  merā  bhī  un  se  na  baat  karne  kā
baheliye  kī  kahānī  se  hī  Dare  taa.ir
rahā  na  hausla  un  meñ  uḌaan  bharne  kā
na  us  ne  dil  se  mujhe  rokne  kī  koshish  kī
na  mere  paas  samay  thā  vahāñ  Thaharne  kā
safed  hone  lagīñ  haiñ  hamārī  bhī  qalameñ
nishān  paḌne  lagā  vaqt  ke  guzarne  kā
falak  se  rahh-numā.ī  'dinesh'  ne  kī  thī
savāl  uThtā  kahāñ  zulmatoñ  se  Darne  kā