bachpan  thā  vo  hamārā  yā  jhoñkā  bahār  kā
lauT  aa.e  kaash  phir  vo  zamāna  bahār  kā
khiḌkī  meñ  ik  gulāb  mahaktā  thā  sāmne
barsoñ  se  band  hai  vo  darīcha  bahār  kā
kaliyoñ  kā  husn  gul  kī  mahak  titliyoñ  kā  raqs
hai  yaad  mujh  ko  aaj  bhī  chehra  bahār  kā
arsa  guzar  gayā  pa  lage  kal  kī  baat  ho
us  bāġh-e-husn  meñ  mirā  darja  bahār  kā
daur-e-ḳhizāñ  meñ  dil  ke  bahalne  kā  hai  sabab
āñkhoñ  meñ  merī  qaid  nazāra  bahār  kā
kaliyāñ  ko  bāġhbāñ  hī  masaltā  hai  jab  kabhī
rotā  hai  zaar  zaar  kaleja  bahār  kā
marzī  pe  gulsitāñ  kī  bhalā  kab  hai  munhasir
aanā  bahār  kā  yā  na  aanā  bahār  kā