naqāb  chehre  pe  bāteñ  luāb-dār  kare
vo  rahnumā  hai  siyāsat  kā  kārobār  kare
ye  sirf  ḳhvāboñ  kitāboñ  kī  baat  lagtī  hai
ki  ik  ġharīb  kī  imdād  māl-dār  kare
na.e  zamāne  kā  rahzan  nayā  salīqa  hai
vo  lauTtā  hai  magar  pahle  hoshiyār  kare
charāġh  le  ke  bhī  DhūñDheñge  to  milegī  nahīñ
jahāñ  meñ  ek  bhī  hastī  jo  maañ  sā  pyaar  kare
havā  ke  zor  se  hī  kashtiyāñ  nahīñ  chaltīñ
ki  nāḳhudā  bhī  ḳhudā  se  zarā  guhār  kare
vo  gul-badan  hai  mukammal  bahār  se  baḌh  kar
bas  us  kā  zikr  hī  mausam  ko  ḳhush-gavār  kare
na  jaane  kaun  sī  bastī  kā  tū  hai  bāshinda
tujhe  'dinesh'  koī  ġham  na  be-qarār  kare