kitāb-e-zīst  se  kuchh  iqtibās  tasvīreñ
ḳhushī  ke  lamhoñ  meñ  detīñ  miThās  tasvīreñ
akele-pan  bhī  hamārā  ye  duur  kartī  hai
ki  rakh  ke  dekho  zarā  apne  paas  tasvīreñ
kuchh  aise  rañg  bharo  jo  samay  se  utre  nahīñ
ye  mū-qalam  se  kareñ  iltimās  tasvīreñ
ḳhudā  ke  paas  ga.e  jab  se  vāldain  mire
mirī  hayāt  kī  hai  bas  asaas  tasvīreñ
sulagtī  ret  pa  sāgar  kā  aks  bhī  dikhtā
lagātī  dekhiye  kyā  kyā  qayās  tasvīreñ
guzishta  vaqt  meñ  rahnā  'dinesh'  chhoḌ  bhī  de
na  baar  baar  tū  ab  dekh  udaas  tasvīreñ