har  kaam  yuuñ  karo  ki  hunar  bolne  lage
mehnat  dikhe  sabhī  ko  asar  bolne  lage
is  bevafā  se  bolnā  tauhīn  thī  mirī
lekin  ye  mere  zaḳhm-e-jigar  bolne  lage
tahzīb  chup  hai  ilm-o-adab  aaj  sharmsār
dekho  pitā  ke  muñh  pe  pisar  bolne  lage
āñkhoñ  se  maiñ  zabān  kā  aise  bhī  kaam  luuñ
jo  bhī  maiñ  kahnā  chāhūñ  nazar  bolne  lage
sab  ham  ko  but-parast  samajhte  rahe  magar
aise  tarāshe  ham  ne  hajar  bolne  lage
dair-o-haram  ke  naam  pe  jab  shahar  baT  gayā
donoñ  taraf  se  teġh-o-tabar  bolne  lage
maiñ  ne  ġhazal  sunā.ī  'zafar'  kī  zamīn  meñ
sab  dost  mere  mujh  ko  zafar  bolne  lage
tū  hai  'dinesh'  aur  vo  hai  chaudhvīñ  kā  chāñd
aapas  meñ  kab  se  shams-o-qamar  bolne  lage