roz  ke  intizām  se  pahle
maiñ  ne  kal  pī  lī  shaam  se  pahle
ghūñT  bharne  pe  hosh  aayā  thā
maiñ  nashe  meñ  thā  jaam  se  pahle
kyā  karūñ  ab  zabān  se  merī
ram  nikaltā  hai  raam  se  pahle
dil  mirā  ab  sharāb  māñge  hai
kaam  ke  baad  kaam  se  pahle
kuchh  pilāne  kā  bandobast  karo
tum  mire  ehtirām  se  pahle
chashm-e-hasrat  ko  paḌh  ke  dekho  tum
kyā  ye  māñge  salām  se  pahle
zindagī  ko  talāshtā  huuñ  maiñ
maut  ke  ehtimām  se  pahle