maiñ  apne  kaam  agar  vaqt  par  nahīñ  kartā
to  kāmyābī  kā  parvat  bhī  sar  nahīñ  kartā
hasīn  ḳhvāb  agar  dil  meñ  ghar  nahīñ  kartā
tavīl  raat  se  maiñ  dar-guzar  nahīñ  kartā
sikhā  diyā  hai  mujhe  ġham  ne  zindagī  kā  hunar
kisī  bhī  haal  meñ  ab  aañkh  tar  nahīñ  kartā
gire  zamīn  pe  dastār  sar  ke  jhukne  se
maiñ  hukmarāñ  ko  salām  is  qadar  nahīñ  kartā
maiñ  apne  azm  kī  patvār  saath  rakhtā  huuñ
mire  safīne  pe  tūfāñ  asar  nahīñ  kartā
ġhurūr  saath  meñ  chaltā  hai  har  ghaḌī  us  ke
vo  ab  amiir  hai  tanhā  safar  nahīñ  kartā
diyā  umiid  kā  tū  har  ghaḌī  jalā.e  rakh
har  ek  raat  kī  kyā  rab  sahar  nahīñ  kartā
ajab  javāb  thā  un  kā  'dinesh'  socheñge
sunā  thā  ishq  koī  soch  kar  nahīñ  kartā