apnī  manzil  kī  jo  hasrat  karnā
ghar  se  chalne  kī  bhī  himmat  karnā
koī  tujh  ko  jo  amānat  sauñpe
jaan  de  kar  bhī  hifāzat  karnā
kahnā  āsān  hai  karnā  mushkil
dushmanoñ  se  bhī  mohabbat  karnā
aaj  bachpan  meñ  hai  vo  baat  kahāñ
vaqt  be-vaqt  sharārat  karnā
tere  bhītar  kā  ḳhudā  jaag  uThe
itnī  shiddat  se  ibādat  karnā
jab  use  dost  kahā  hai  tum  ne
us  ke  dukh  dard  meñ  shirkat  karnā
farz  aulād  kā  hotā  hai  'dinesh'
apne  maañ  baap  kī  ḳhidmat  karnā