pāband-e-ġham-e-ulfat  hī  rahe  go  dard-e-dahindāñ  aur  sahī
ashkoñ  kī  ravānī  tham  na  sakī  āñkhoñ  ke  the  armāñ  aur  sahī
ādāb-e-chaman  anjām  to  de  gul  se  na  haTā  titlī  ko  sabā
ulfat  kī  hayā  mahfūz  rahe  go  tujh  meñ  hoñ  tūfāñ  aur  sahī
ho  sa.i-e-karam  ġhairoñ  pe  agar  apnoñ  pe  mazāq-e-ām  na  ho
ham  raah  meñ  haiñ  Thokar  hī  to  de  manzil  ke  hoñ  shāyāñ  aur  sahī
is  dasht-e-vafā  meñ  qais  bhī  hai  aur  shaiḳh  bhī  hai  mushtāq-e-milan
jo  vasl  nahīñ  to  kyā  ġham  hai  kuchh  lamhe  ibārāñ  aur  sahī
ik  gul  jo  girā  barnā.ī  meñ  bulbul  ko  yahī  afsos  rahā
mashġhūl  rahā  ġham-ḳhvārī  meñ  hoñ  fasl-e-bahārāñ  aur  sahī
andāz-e-sabā  se  vāqif  huuñ  aur  rabt-e-bahar  se  bhī  bāliġh
ruḳh  moḌ  ke  chalnā  jiinā  hai  ḳhvāh  us  ke  hoñ  pāyāñ  aur  sahī