sab  pighal  jaa.e  tamāsha  vo  idhar  kab  hogā
mom  ke  shahr  se  sūraj  kā  guzar  kab  hogā
ḳhvāb  kāġhaz  ke  safīne  haiñ  bachā.eñ  kaise
ḳhatm  is  aag  ke  dariyā  kā  safar  kab  hogā
jis  kā  naqsha  hai  mire  zehn  meñ  ik  muddat  se
ghar  vo  tāmīr  se  pahle  hī  khañDar  kab  hogā
mere  kho.e  hue  mahvar  pe  jo  pahuñchā.e  mujhe
ab  lahū  meñ  mire  paidā  vo  bhañvar  kab  hogā
sabz  rakkhā  hai  jise  maiñ  ne  lahū  de  ke  'qamar'
mehrbāñ  dhuup  meñ  āḳhir  vo  shajar  kab  hogā