jiinā  hai  sab  ke  saath  ki  insān  maiñ  bhī  huuñ
chehre  badal  badal  ke  pareshān  maiñ  bhī  huuñ
jhoñkā  havā  kā  chupke  se  kānoñ  meñ  kah  gayā
ik  kāñpte  diye  kā  nigahbān  maiñ  bhī  huuñ
inkār  ab  tujhe  bhī  hai  merī  shanāḳht  se
lekin  na  bhuul  ye  tirī  pahchān  maiñ  bhī  huuñ
āñkhoñ  meñ  manzaroñ  ko  jab  ābād  kar  liyā
dil  ne  kiyā  ye  tanz  ki  vīrān  maiñ  bhī  huuñ
apne  sivā  kisī  se  nahīñ  dushmanī  'qamar'
har  lamha  ḳhud  se  dast  o  garebān  maiñ  bhī  huuñ