bichhaḌ  gayā  hai  kahāñ  kaun  kuchh  pata  hī  nahīñ
safar  meñ  jaise  koī  apne  saath  thā  hī  nahīñ
kisī  se  rabt  baḌhā.eñ  tū  mat  ḳhafā  honā
ki  dil  meñ  ab  tirī  yādoñ  kā  silsila  hī  nahīñ
sab  apne  apne  masīhā  ke  intizār  meñ  haiñ
kisī  kā  jaise  zamāne  meñ  ab  ḳhudā  hī  nahīñ
ik  umr  kaT  ga.ī  kāġhaz  siyāh  karte  hue
qalam  ko  apne  jo  likhnā  thā  vo  likhā  hī  nahīñ
'qamar'  vo  shaḳhs  hamāre  nagar  meñ  kyā  aayā
butoñ  ko  bhī  hai  gila  koī  pūjtā  hī  nahīñ