jo  paḌ  ga.ī  thī  girah  dil  meñ  kholte  ham  bhī
vo  baat  kartā  to  kuchh  us  se  bolte  ham  bhī
havā  ko  kis  ne  chhuā  hai  jo  tujh  ko  chhū  paate
ḳhalā  meñ  phirte  haiñ  rasta  TaTolte  ham  bhī
kahāñ  pe  Thahreñ  ki  mānind-e-barg-e-āvāra
havā  ke  dosh  pe  phirte  haiñ  Dolte  ham  bhī
añdherā  shahr  kī  galiyoñ  kā  ghar  meñ  dar  aatā
zarā  jo  raat  ko  darvāza  kholte  ham  bhī
'qamar'  ye  lutf  na  jiine  kā  phir  hameñ  aatā
lahū  maiñ  zahr  agar  ḳhud  na  gholte  ham  bhī