yuuñ  qaid  ham  hue  ki  havā  ko  taras  ga.e
apne  hī  kaan  apnī  sadā  ko  taras  ga.e
the  kyā  ajiib  log  ki  jiine  ke  shauq  meñ
āb-e-hayāt  pī  ke  havā  ko  taras  ga.e
kuchh  roz  ke  liye  jo  kiyā  ham  ne  tark  shahr
bashindagān-e-shahr  jafā  ko  taras  ga.e
murda  adab  ko  dī  hai  na.ī  zindagī  magar
bīmār  ḳhud  paḌe  to  davā  ko  taras  ga.e
ḳhālī  jo  apnā  jism  lahū  se  huā  'qamar'
kitne  hī  haath  rañg-e-hinā  ko  taras  ga.e