ye  faqīrī  hai  qanā.at  ke  sivā  kyā  jaane
kaun  kyā  de  ke  gayā  dast-e-duā  kyā  jaane
aag  tan  meñ  to  lagā  lenā  koī  khel  hai  kyā
kitne  majbūr  diye  hoñge  havā  kyā  jaane
us  ko  karnā  hai  tah-e-ḳhāk  so  kartī  jaa.e
kaun  hai  sīm-badan  mauj-e-balā  kyā  jaane
vo  to  dariyāoñ  ko  sairāb  kiye  jaatī  hai
sūkhe  khetoñ  kī  zarūrat  ko  ghaTā  kyā  jaane
ashk  āñkhoñ  meñ  bhare  hoñ  to  nazārā  kaisā
kāñptā  haath  koī  band-e-qabā  kyā  jaane
koī  zinda  na  bache  vo  to  yahī  chāhte  haiñ
kitnā  suntā  hai  ḳhudāoñ  kā  ḳhudā  kyā  jaane
us  se  pahle  jo  kabhī  chūmte  phūloñ  ko  'fahīm'
kaun  sā  ġham  hai  hameñ  bād-e-sabā  kyā  jaane