ġham  bhī  sadiyoñ  se  haiñ  aur  dīda-e-tar  sadiyoñ  se
ḳhāna-barbādoñ  ke  ābād  haiñ  ghar  sadiyoñ  se
dar-ba-dar  un  kā  bhaTaknā  to  na.ī  baat  nahīñ
chāhne  vaale  to  haiñ  ḳhāk-basar  sadiyoñ  se
koī  mushkil  na  masāfat  hai  na  raste  kī  thakan
asl  zanjīr  hai  sāmān-e-safar  sadiyoñ  se
tujh  se  milne  ke  sivā  saarī  duā.eñ  gulshan
ik  yahī  shāḳh  hai  be-barg-o-samar  sadiyoñ  se
kyā  musāfir  haiñ  ye  raste  meñ  bhaTakne  vaale
jaise  be-samt  ghaTāoñ  kā  safar  sadiyoñ  se
kis  ne  dekhī  hai  zamāne  meñ  vafā  kī  ḳhushbū
ye  kahānī  hai  kitāboñ  meñ  magar  sadiyoñ  se
har  zamāne  meñ  ḳhushāmad  ne  sadārat  kī  hai
kāmrāñ  hotā  rahā  hai  ye  hunar  sadiyoñ  se
mā-sivā  husn  kahīñ  ishq  ne  dekhā  na  'fahīm'
ek  hī  samt  ko  jāmid  hai  nazar  sadiyoñ  se