apne  qadam  kī  chaap  se  yuuñ  Dar  rahe  haiñ  ham
maqtal  kī  samt  jaise  safar  kar  rahe  haiñ  ham
kyā  chāñd  aur  tāroñ  ko  ham  jānte  nahīñ
ai  āsmān  vaalo  zamīñ  par  rahe  haiñ  ham
mushkil  thā  sat.h-e-āb  se  ham  ko  khañgālnā
bāhar  nahīñ  the  jitnā  ki  andar  rahe  haiñ  ham
kal  aur  koī  vaqt  kī  āñkhoñ  meñ  ho  to  kyā
ab  tak  to  har  nigāh  kā  mehvar  rahe  haiñ  ham
dair-o-haram  se  aur  bhī  aage  nikal  ga.e
haañ  aql  kī  hudūd  se  bāhar  rahe  haiñ  ham
ai  ham-safar  na  pūchh  masāfat  nasīb  se
tū  jāntā  hai  kitne  dinoñ  ghar  rahe  haiñ  ham
bāhar  na  aa.e  ham  bhī  anā  ke  hisār  se
is  jañg  meñ  tumhāre  barābar  rahe  haiñ  ham
jharnoñ  kī  kyā  bisāt  kareñ  guftugū  'fahīm'
dariyā  gire  jahāñ  vo  samundar  rahe  haiñ  ham