aanā  thā  jise  aaj  vo  aayā  to  nahīñ  hai
ye  vaqt  badalne  kā  ishārā  to  nahīñ  hai
dāvat  de  kabhī  kyuuñ  vo  mohabbat  se  bulā.e
dariyā  se  mirī  pyaas  kā  rishta  to  nahīñ  hai
ye  kaun  gayā  hai  ki  jhapaktī  nahīñ  āñkheñ
raste  meñ  vo  Thahrā  huā  lamha  to  nahīñ  hai
hañstā  huā  chehra  hai  damaktā  huā  paikar
guzrā  huā  ye  merā  zamāna  to  nahīñ  hai
āñkhoñ  ne  abhī  niiñd  kā  dāman  nahīñ  chhoḌā
ḳhvāboñ  se  bharosa  abhī  TuuTā  to  nahīñ  hai
dariyā  meñ  sar-e-shām  hai  Duubā  huā  sūraj
din-bhar  kā  musāfir  koī  pyāsā  to  nahīñ  hai
chhoḌ  aa.e  ho  jis  ke  liye  āñchal  kī  ghanī  chhāñv
is  shahr  meñ  vo  dhuup  kā  TukḌā  to  nahīñ  hai
raste  meñ  'fahīm'  us  kī  tabī.at  kā  bigaḌnā
ghar  jaane  kā  ik  aur  bahāna  to  nahīñ  hai