kyā  koī  tasvīr  ban  saktī  hai  sūrat  ke  baġhair
phir  kisī  se  kyuuñ  mile  koī  zarūrat  ke  baġhair
dushmanī  to  chāhne  kī  intihā  kā  naam  hai
ye  kahānī  bhī  adhūrī  hai  mohabbat  ke  baġhair
terī  yādeñ  ho  ga.iiñ  jaise  muqaddas  āyateñ
chain  aatā  hī  nahīñ  dil  ko  tilāvat  ke  baġhair
dhuup  kī  har  saañs  ginte  shaam  tak  jo  aa  ga.e
chhāñv  meñ  vo  kyā  ji.eñ  jiine  kī  aadat  ke  baġhair
bach  gayā  dāman  agar  mere  lahū  ke  daaġh  se
vo  mirā  qātil  to  mar  jā.egā  shohrat  ke  baġhair
us  kī  sardārī  se  ab  inkār  karnā  chāhiye
raushnī  detā  nahīñ  sūraj  siyāsat  ke  baġhair
husn  kī  dūkān  ho  ki  ishq  kā  bāzār  ho
yaañ  koī  saudā  nahīñ  hai  dil  kī  daulat  ke  baġhair
shabnamī  chehra  chhupā.ūñ  kaise  bachchoñ  se  'fahīm'
shaam  aatī  hī  nahīñ  ghar  meñ  tahārat  ke  baġhair