Zia Fatehabadi

farishte imtihan-e-bandagi mein humse kam nikle

Zia Fatehabadi

Kapurthala, Punjab, India

1913-1986

farishte imtihān-e-bandagī meñ ham se kam nikle

magar ik jurm pādāsh meñ jannat se ham nikle

ġham-e-duniyā-o-dīñ un ko na fikr-e-nek-o-bad un ko

mohabbat karne vaale be-niyāz-e-besh-o-kam nikle

ġharaz ka.abe se thī jin ko na thā matlab kalīsā se

had-e-dair-o-haram se bhī vo aage do-qadam nikle

sahar manzil-e-raushan pe pahuñche vo dīvāne

shab-e-tārīk meñ jo nuur le kar alam nikle

mah-o-ḳhurshīd ban kar āsmānoñ par hue raushan

do aañsū vo mirī āñkhoñ se jo shām-e-alam nikle

sukūt-e-shab meñ ham ne ek rañgīñ ḳhvāb dekhā thā

masarrat jāvedāñ hogī agar ta.abīr-e-ġham nikle

na miltī hoñ sharāb-e-zindagī talḳhiyāñ jin meñ

sunā hai vo 'ziyā' ke dil se aise sher kam nikle

Top Urdushayar.com