Aakif Ghani

aabla-pai hui na zist mein hail kabhi

Aakif Ghani

ābla-pā.ī huī na ziist meñ haa.il kabhī
paañv kab mere thake gar ho ga.e ghā.il kabhī
pur-kashish hai mahfil-e-duniyā bahut apnī jagah
par mujhe ye apnī jānib kar sakī maa.il kabhī
har amal kā ajr hai mahfūz apne rab ke paas
koī bhī achchhā amal jaatā nahīñ zaa.il kabhī
chhā ga.ī mastī badan meñ aur dil par ik surūr
zehn meñ jab baj uThī mahbūb kī paa.il kabhī
jholiyāñ bhar dī ga.iiñ rahmat se rab kī dosto
kab hai ḳhālī haath lauTā koī bhī saa.il kabhī
baat sachchī hai to kahne meñ takalluf kyā tujhe
log ho hī jā.eñge 'ākif' tire qaa.il kabhī
Top Urdushayar.com