Aakif Ghani

har kaam ka waqt muqarrar hai har kaam ko waqt pe hona hai

Aakif Ghani

har kaam kā vaqt muqarrar hai har kaam ko vaqt pe honā hai
kis baat kī āḳhir jaldī hai kis baat kā phir ye ronā hai
duniyā ke masā.ib jhelne ko mālik ne banāyā hai jīvan
ārām bhalā phir kaahe kā phir kaahe ye sonā hai
be-maqsad jiinā kahte haiñ haivān ke jaisā jiine ko
insāñ ke liye to ye jīvan yaaro pur-ḳhār bichhaunā hai
dushvār sahī rasta lekin chalnā hai hameñ manzil kī taraf
manzil kī talab meñ 'ākif' jī kuchh paanā hai kuchh khonā hai
Top Urdushayar.com