nigāh  karne  meñ  lagtā  hai  kyā  zamāna  koī
payambarī  na  sahī  dukh  payambarāna  koī
ik-ādh  baar  to  jaañ  vārnī  hī  paḌtī  hai
mohabbateñ  hoñ  to  bantā  nahīñ  bahāna  koī
maiñ  tere  daur  meñ  zinda  huuñ  tū  ye  jāntā  hai
hadaf  to  maiñ  thā  magar  ban  gayā  nishāna  koī
ab  is  qadar  bhī  yahāñ  zulm  ko  panāh  na  do
ye  ghar  girā  hī  na  de  dast-e-ġhā.ebāna  koī
ujāltā  huuñ  maiñ  nālain-e-pā-e-laḳht-e-jigar
ki  madrase  ko  chalā  ilm  kā  ḳhazāna  koī