Nafas Ambalvi

dhup thi sahra tha lekin jism ka saya na tha

Nafas Ambalvi

Mumbai, Maharashtra, India

1961
dhuup thī sahrā thā lekin jism kā saaya na thā
aadmī is se ziyāda to kabhī tanhā na thā
khīñchte the apnī jānib regzāroñ ke sarāb
duur tak sahrā meñ lekin aab kā qatra na thā
ek mub.ham ḳhvāb thā āñkhoñ meñ aur dil meñ junūñ
zehn meñ lekin imārat kā koī naqsha na thā
bhiiḌ thī bastī meñ lekin maiñ kise pahchāntā
itne logoñ meñ kisī bhī shaḳhs kā chehra na thā
is qadar shiddat se vo dariyā samundar se milā
ab samundar hī samundar thā kahīñ dariyā na thā
ghar kī azmat haa.e jis dīvār se mahfūz thī
ghar ke darvāze pe ab vo TaaT kā parda na thā
vo ġhazal apnī sajātā thā lahū ke rañg se
phir bhī kahte haiñ 'nafas' us kā koī pesha na thā
Top Urdushayar.com